Skip to main content

Ay Deen E Haq Ke Rehbar Tum Par Salaam Har Dam

Ay Deen E Haq Ke Rehbar Tum Par Salaam Har Dam

Ay Deen E Haq Ke Rehbar Tum Par Salaam Har Dam
Mere Shafe'a E Mehshar, Tum Par Salaam Har Dam

Iss Be-kaso Azee Par Jo Kuch Guzar Rahi Hain
Zaahir Hai Sab Wo Tum Par Tum Par Salaam Har Dam

Banda Tumhare Darr Ka Aafat Me Mubtala Hain
Rehme Habeeb E Daawar, Tum Par Salaam Har Dam


Lillah Ab Hamari Fariyad Ko Pohachiye
Be-had Hai Haal Abtar, Tum Par Salaam Har Dam


Koyi Nahi Hai Mera, Main Kiske Daad Chahoon
Sultaan E Banda Parwar, Tum Par Salaam Har Dam

Bulwa Ke Apne Darr Par Ab Mujhko Dijiye Izzat
Phirta Hu Khwar Darr Darr, Tum Par Salaam Har Dam


Mohtaaj Se Tumhare Karte Hain Sab Kinara
Bas Ik Tumhi Ho Yaavar, Tum Par Salaam Har Dam


Apne Gada E Darr Ki Lijiye Khabar Khudara
Kijiye Karam Hasan Par, Tum Par Salaam Har Dam


Comments

Popular posts from this blog

सब -ए- बारात की नफिल नमाज

⭐सब -ए- बारात की  नफिल नमाज  का तरीक़ा⭐ 👉⭐ शाबान : 6 रकात नफ़िल नमाज़ मगरीब क़े बाद : दुआ-ऐ-निस्फ़-शाबान: ⭐ 🔖सब -ए- बारात की नफिल नमाज 🌸2 रकात - नफ़्ल तहय्यतुल वुजू पढ़िए। नियत करता हु मैं २ रकत नमाज़े नफिल, वास्ते अल्लाह तआला के, मुँह मेरा काबा शरीफ की तरफ अल्लाहु अकबर। 🕌तरकीब: हर रकात में अल्हम्दो शरीफ के बाद एक बार आयतुल कुर्सी, तीन बार कुल हुवल्लाहु शरीफ  🤲फजीलत: हर क़तरा पानी के बदले सात सौ रकात नफ़्ल का सवाब मिलेगा। 🌸2 रकात - 🕌तरकीब: हर रकात में अल्हम्दो शरीफ के बाद एक बार आयतुल कुर्सी, पंद्रह बार कुल हुवल्लाहु शरीफ। सलाम के बाद सौ बार दुरुद शरीफ। 🤲फजीलत: रोजी में बरकत होगी। रंजोग़म से नजात। गुनाहो की बख्शीश, मगफिरत होगी। 🌸8 रकात- ( दो - दो  रकात करके) 🕌तरकीब: हर रकात में अल्हम्दो शरीफ के बाद पांच बार कुल हुवल्लाहु शरीफ। 🤲फजीलत: गुनाहो से पाक व साफ़ होगा, दुआए क़ुबूल होंगी, सवाबे अज़ीम होगा। 🌸12 रकात- ( दो - दो  रकात करके) 🕌तरकीब: हर रकात में अल्हम्दो शरीफ के बाद 1...

Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga Complete Lyrics

Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga Hamara Bigda Huwa Kaam Bann Gaya Hoga Gunahgaar Pe Jab Lutf Aapka Hoga Kiya Bagair Kiya Be-Kiya Kiya Hoga Khuda Ka Lutf Huwa Hoga Dastageer Zaroor Jo Girte Girte Tera Naam Le Liya Hoga Dikhayi Jayegi Mehshar Mein Shaan E Mehboobi Ke Aap Hi Ki Khushi Aapka Kaha Hoga Khuda E Paak Ki Chahenge Agle Pichle Khushi Khuda E Paak Khushi Unki Chahta Hoga Kisi Ke Paanv Ki Bedi Ye Kaat-te Honge Koyi Aseer E Gham Unko Pukarta Hoga Kisi Taraf Se Sada Aayegi Huzoor Aao Nahi To Damm Mein Ghareebo Ka Faysla Hoga Kisi Ke Palle Pe Ye Honge Waqt E Wazn E Amal Koyi Ummeed Se Muh Unnka Tak Raha Hoga Koyi Kahega Duhayi Hai Ya RasoolAllah To Koyi Thaam Ke Daman Machal Gaya Hoga Kisi Ko Le Ke Chalenge Firishte Suwe Jaheem Woh Unka Raasta Phir Phir Ke Dekhta Hoga Shikashta Pa Hu Mere Haal Ki Khabar Kar Do Koyi Kisi Ye Ro Ro Ke Keh Raha Hoga Khuda Ke Waaste Jald Unse Arz E Haal Karo Kise Khabar Hai Ke Damm Bhar Mein Haaye Kya Hoga Pakad Ke Haath Koyi Haal E Dil Sunayega To...

6 रकात बाद नमाज़ मगरिब की नमाज़ का तरीका