Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Ghous E Azam Ka

Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Ghous E Azam Ka

Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Ghous E Azam Ka
Humen Dono Jahaan Mein Hai Sahara Ghous E Azam Ka

Muhammed Ka Rasoolo Mein Hai Jaise Martaba A'ala
Hai Afzal Awliya Me Yun Hi Rutba Ghous E Azam Ka

Mureedi La-Takhaf Keh Kar Tasalli Di Ghulamo Ko
Qayamat Tak Rahe Be-Khauf Banda Ghous E Azam Ka

Hamari Laaj Kiske Haath Hai Baghdad Wale Ke
Musibat Taal Dena Kaam Kiska Ghous E Azam Ka

Gaye Ek Waqt Mein Sattar Mureedo Ke Yaha Hazrat
Samajh Me Aa Nahi Sakta MuAmma Ghous E Azam Ka

Luab Apna Chataya Ahmed E Mukhtar Ne Inko
To Phir Kaise Na Hota Bolbaala Ghous E Azam Ka

Azizo Kar Chuko Taiyaar Jab Mere Janaaze Ko
To Likh Dena Kafan Par Naam E Waala Ghous E Azam Ka

Farishto Rokte Ho Kyu Mujhe Jannat Me Jaane Se
Ye Dekho Haath Mein Daaman Hai Kiska Ghous E Azam Ka

Lahad Mein Jab Farishte Mujhse Poochenge To Keh Dunga
Tariqa Qadri Hu Naam Leva Ghous E Azam Ka

Khudawanda Dua Maqbool Kar Hum Roo Siyaho(n) Ki
Gunahon Ko Hamare Baksh Sadqa Ghous E Azam Ka

Janaab Ghous Dulha Aur Baraati Auliya Honge
Mazaa Dikhlayega Mehshar Me Sehra Ghous E Azam Ka

Nida Dega Munaadi Hashr Mein Yun Qadriyo Ko
Kidhar Hai Qadri Karle Nazara Ghous E Azam Ka

Mukhalif Kya Kare Mera Ke Hai Behad Karam Mujh Par
Khuda Ka Rehmatallil A'almeen Ka Ghous E Azam Ka

Farishte Madrase Tak Saath Pohchaane Ko Jaate The
Ye Darbaar E Ilahi Mein Hai Rutba Ghous E Azam Ka

Salasile Jahan Kyu Gar Na Unke Rob Se Kaampe
Na Laya Sher Ko Khatre Mein Kutta Ghous E Azam Ka

Jameel E Qadri Sau Jaan Ho Qurbaan Murshid Par
Banaya Jisne Tujh Jaise Ko Banda Ghous E Azam Ka

Comments