Tu Shamme Risalat Hain A’alam Tera Parwana
Tu Mahe Nubuvvat Hain Ay Jalwa E Janana
Jo Saaqi E Kausar Ke Chehre Se Nikaab Uththe
Har Dil Bane Maikhana Har Aankh Ho Paymana
Dil Apna Chamak Utthe Imaan Ki Tal'at Se
Kar Aankhein Bhi Noorani Ay Jalwa E Jaanana
Kyu Zulfe Muambar Se Kooche Na Mahak Uthe
He Panja Qudrat Jab Zulfo Ka Tere Shaana
Tum Aye Chati Baazi Ronak Huwi Phir Taazi
Kaaba Hua Phir Kaaba Kar Daala Tha Butt Khana
Peete Hain Tere Dar Ka, Khate Hain Tere Dar Ka
Pani Hain Tera Pani, Dana Hain Tera Dana
Sarshar Ise Kar De Ik Jaam E Labalab Se
Taa Hashr Rahe Saaqi Aabad Ye Maikhana
Is Darr Ki Huzoori Hi Isyan Ki Dawa Thahri
Hai Zehre Ma Aasi Ka Taibah Hi Shifa Khaana
Har Phool Me Boo Teri Har Sham-A Me Zao Teri
Bulbul Hai Tera Bulbul Parwaana Hai Parwaana
Duniya Mein Hume Tum Ne Jab Apna Banaaya Hai
Mehshar Me Bhi Keh Dena Yeh Hai Mera Deewana
Gir Pad Ke Yaha Pohcha, Mar Mar Ke Ise Paya
Chute Na Ilahi Ab, Sange Dare Jaana Na
Sange Dare Jaana Hain, Thokar Na Lage Kisko
Ay Kash Wo Sun Lete, Mujhse Mera Afsana
Sange Dare Jaana Par, Karta Hu Jabee Sayi
Sajda Na Samajh Najdi, Sar Deta Hu Nazrana
Woh Kehte Na Kehte Kuch Woh Karte Na Karte Kuch
Ay Kash Wo Sunn Lete Mujh Se Mera Afsana
Sarkaar Ke Jalwon Se, Roushan Hain Dile Noori
Ta Hashr Rahe Roshan, Noori Ke Ye Kaash Aana.
Comments
Post a Comment